bechain bahut phirna ghabrae hue rahna
bechain bahut phirnā ghabrā.e hue rahnā
ik aag sī jazboñ kī dahkā.e hue rahnā
chhalkā.e hue chalnā ḳhushbū lab-e-lālīñ kī
ik baaġh sā saath apne mahkā.e hue rahnā
us husn kā sheva hai jab ishq nazar aa.e
parde meñ chale jaanā sharmā.e hue rahnā
ik shaam sī kar rakhnā kājal ke karishme se
ik chāñd sā āñkhoñ meñ chamkā.e hue rahnā
aadat hī banā lī hai tum ne to 'munīr' apnī
jis shahr meñ bhī rahnā uktā.e hue rahnā
bechain bahut phirna ghabrae hue rahna
ek aag si jazbon ki dahkae hue rahna
chhalkae hue chalna KHushbu lab-e-lalin ki
ek bagh sa sath apne mahkae hue rahna
us husn ka shewa hai jab ishq nazar aae
parde mein chale jaana sharmae hue rahna
ek sham si kar rakhna kajal ke karishme se
ek chand sa aankhon mein chamkae hue rahna
aadat hi bana li hai tum ne to 'munir' apni
jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.