bayan-e-shauq bana harf-e-iztirab bana
bayān-e-shauq banā harf-e-iztirāb banā
vo ik savāl ki jis kā na kuchh javāb banā
maiñ ek baab thā afsāna-e-vafā kā magar
tumhārī bazm se uTThā to ik kitāb banā
mujhe safīr banā apnā kū-ba-kū ai ishq
kise havas hai ki duniyā meñ kāmyāb banā
maiñ jis ḳhayāl ko apnā junūñ samajhtā thā
vahī ḳhayāl zamāne kā husn-e-ḳhvāb banā
kabhī to vaj.h-e-karam ban ga.ī hai ḳhuddārī
kabhī niyāz-talab baa.is itaab banā
sarā-e-dil meñ jagah de to kaaT luuñ ik raat
nahīñ ye shart ki mujh ko sharīk-e-ḳhvāb banā
jo ek daaġh kī sūrat rahā shab-e-ummīd
nujūm-e-dil meñ vahī dard āftāb banā
mujhe na ḳhaak meñ milne de ai ġham-e-pinhāñ
jo ban sakūñ to mujhe naqsh-e-lā-javāb banā
mizha se qatra ḳhushī meñ chhalak rahā thā magar
sukūt-e-lab se tire mauj-e-iztirāb banā
bane haiñ ḳhvāb ke jhoñke nasīm-e-ḳhuld-nashīñ
sulūk-e-dahr jahāñ ātish-e-azāb banā
bahut qarīb se dekhā to kho ga.e jalve
nazar hī parda banī husn hī hijāb banā
jo mere dasht-e-junūñ meñ thā farq-e-rū-e-bahār
vahī ḳhirad ke ḳharābe meñ ik gulāb banā
amīr-e-charḳh kā ehsāñ nahīñ hai mujh pe 'na.īm'
mujhe hai naaz ki zarre se āftāb banā
bayan-e-shauq bana harf-e-iztirab bana
wo ek sawal ki jis ka na kuchh jawab bana
main ek bab tha afsana-e-wafa ka magar
tumhaari bazm se uTTha to ek kitab bana
mujhe safir bana apna ku-ba-ku ai ishq
kise hawas hai ki duniya mein kaamyab bana
main jis KHayal ko apna junun samajhta tha
wahi KHayal zamane ka husn-e-KHwab bana
kabhi to wajh-e-karam ban gai hai KHuddari
kabhi niyaz-talab bais itab bana
sara-e-dil mein jagah de to kaT lun ek raat
nahin ye shart ki mujh ko sharik-e-KHwab bana
jo ek dagh ki surat raha shab-e-ummid
nujum-e-dil mein wahi dard aaftab bana
mujhe na KHak mein milne de ai gham-e-pinhan
jo ban sakun to mujhe naqsh-e-la-jawab bana
mizha se qatra KHushi mein chhalak raha tha magar
sukut-e-lab se tere mauj-e-iztirab bana
bane hain KHwab ke jhonke nasim-e-KHuld-nashin
suluk-e-dahr jahan aatish-e-azab bana
bahut qarib se dekha to kho gae jalwe
nazar hi parda bani husn hi hijab bana
jo mere dasht-e-junun mein tha farq-e-ru-e-bahaar
wahi KHirad ke KHarabe mein ek gulab bana
amir-e-charKH ka ehsan nahin hai mujh pe 'naim'
mujhe hai naz ki zarre se aaftab bana
- Book : kulliyat-e- hasan na.iim (Pg. 135)
- Author : ahmad kafiil
- Publication : qaumi council baraaye farogh-e-urdu zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.