bashir badr ki ghazlen suna raha tha main
bashir badr ki ghazlen suna raha tha main
Mohsin Aftab Kelapuri
MORE BYMohsin Aftab Kelapuri
bashīr 'badr' kī ġhazleñ sunā rahā thā maiñ
kal āsmāñ ko zamīñ par bulā rahā thā maiñ
guzar rahā thā maiñ jab mai-kade kī rāhoñ se
jigar ke haath se dāman bachā rahā thā maiñ
ye baat sab ko batā.ī thī mirzā ġhālib ne
bahār ghar meñ thī sahrā uḌā rahā thā maiñ
tumhārī yaad bhī chupke se aa ke baiTh ga.ī
ġhazal jo 'mīr' kī ik gungunā rahā thā maiñ
udaas shaam nazar aa.ī jaan ke jaisī
jab intizār meñ tere khaḌā rahā thā maiñ
vo amritā kī tarah mujh se ishq kartī thī
so apne aap ko 'sāhir' batā rahā thā maiñ
'farāz'-o-'faiz' ke dilkash kalām ko paḌh kar
mohabbatoñ kā tarīqa sikhā rahā thā maiñ
'majāz' kaan meñ mere batā ga.e aa kar
ki kaise husn ko pāgal banā rahā thā maiñ
'shakīl' aazmī kahne lage paroñ ko khol
jo sū-e-asmāñ sar ko uThā rahā thā maiñ
ye bātoñ bātoñ meñ mujh ko batā ga.e 'tanvīr'
kal us ke haath kā kañgan ghumā rahā thā maiñ
'nidā' ne shahr meñ gaañv basā ke rakhā thā
so un se milne usī gaañv jā rahā thā maiñ
lipaT ke rone lage mujh se shā.ir-e-mashriq
jab un ko qaum kī hālat batā rahā thā maiñ
'zafar' batā.eñge tum ko yā maiñ batā.ūñgā
ke mulk chhoḌ ke kis tarah jā rahā thā maiñ
ajab hī ḳhvāb dikhā.ī diyā mujhe 'mohsin'
kal āftāb kī mayyat uThā rahā thā maiñ
bashir 'badr' ki ghazlen suna raha tha main
kal aasman ko zamin par bula raha tha main
guzar raha tha main jab mai-kade ki rahon se
jigar ke hath se daman bacha raha tha main
ye baat sab ko batai thi mirza ghaalib ne
bahaar ghar mein thi sahra uDa raha tha main
tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai
ghazal jo 'mir' ki ek gunguna raha tha main
udas sham nazar aai jaan ke jaisi
jab intizar mein tere khaDa raha tha main
wo amrita ki tarah mujh se ishq karti thi
so apne aap ko 'sahir' bata raha tha main
'faraaz'-o-'faiz' ke dilkash kalam ko paDh kar
mohabbaton ka tariqa sikha raha tha main
'majaz' kan mein mere bata gae aa kar
ki kaise husn ko pagal bana raha tha main
'shakil' aazmi kahne lage paron ko khol
jo su-e-asman sar ko uTha raha tha main
ye baaton baaton mein mujh ko bata gae 'tanwir'
kal us ke hath ka kangan ghuma raha tha main
'nida' ne shahr mein ganw basa ke rakha tha
so un se milne usi ganw ja raha tha main
lipaT ke rone lage mujh se shair-e-mashriq
jab un ko qaum ki haalat bata raha tha main
'zafar' bataenge tum ko ya main bataunga
ke mulk chhoD ke kis tarah ja raha tha main
ajab hi KHwab dikhai diya mujhe 'mohsin'
kal aaftab ki mayyat uTha raha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.