yaad aata hai mujhe ret ka ghar barish mein
yaad aatā hai mujhe ret kā ghar bārish meñ
meñ akelī thī sar-e-rāhguzar bārish meñ
vo ajab shaḳhs thā har haal meñ ḳhush rahtā thā
us ne tā-umr kiyā hañs ke safar bārish meñ
tum ne pūchhā bhī to kis moḌ pe aa kar pūchhā
kaise ujḌā thā chahaktā huā ghar bārish meñ
ik diyā jaltā hai kitnī bhī chale tez havā
TuuT jaate haiñ ka.ī ek shajar bārish meñ
āñkheñ bojhal haiñ tabī.at bhī hai kuchh afsurda
kaisī alsā.ī sī lagtī hai sahar bārish meñ
yaad aata hai mujhe ret ka ghar barish mein
mein akeli thi sar-e-rahguzar barish mein
wo ajab shaKHs tha har haal mein KHush rahta tha
us ne ta-umr kiya hans ke safar barish mein
tum ne puchha bhi to kis moD pe aa kar puchha
kaise ujDa tha chahakta hua ghar barish mein
ek diya jalta hai kitni bhi chale tez hawa
TuT jate hain kai ek shajar barish mein
aankhen bojhal hain tabiat bhi hai kuchh afsurda
kaisi alsai si lagti hai sahar barish mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.