guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal
guftugū kyuuñ na kareñ dīda-e-tar se bādal
lauT aa.e haiñ sitāroñ ke safar se bādal
kyā ġhazabnāk thī sūraj kī barahna shamshīr
kaale mujrim kī tarah nikle na ghar se bādal
raat kī kokh koī chāñd kahāñ se laa.e
ye zamīñ bāñjh hai barse ki na barse bādal
barf se kahiye ki sauġhāt kare un kī qubūl
laa.e haiñ aag ke dastāne safar se bādal
maiñ ki huuñ dhuup kā āzād parinda lekin
baal kyuuñ noch rahe haiñ mire par se bādal
āḳhirī ḳhat to likhūñgā maiñ lahū se ḳhud ko
ab bhī māyūs jo lauTe tire dar se bādal
na kisī jism kā jaadū na ghaTā gesū kī
'prem' kyuuñ ruuTh ga.e prem-nagar se bādal
guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal
lauT aae hain sitaron ke safar se baadal
kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir
kale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal
raat ki kokh koi chand kahan se lae
ye zamin banjh hai barse ki na barse baadal
barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul
lae hain aag ke dastane safar se baadal
main ki hun dhup ka aazad parinda lekin
baal kyun noch rahe hain mere par se baadal
aaKHiri KHat to likhunga main lahu se KHud ko
ab bhi mayus jo lauTe tere dar se baadal
na kisi jism ka jadu na ghaTa gesu ki
'prem' kyun ruTh gae prem-nagar se baadal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.