muskurao bahaar ke din hain
muskurāo bahār ke din haiñ
gul khilāo bahār ke din haiñ
duḳhtarān-e-chaman ke qadmoñ par
sar jhukāo bahār ke din haiñ
mai nahīñ hai to ashk-e-ġham hī sahī
pī bhī jaao bahār ke din haiñ
tum ga.e raunaq-e-bahār ga.ī
tum na jaao bahār ke din haiñ
haañ koī vārdāt-e-saġhar-o-mai
kuchh sunāo bahār ke din haiñ
muskurao bahaar ke din hain
gul khilao bahaar ke din hain
duKHtaran-e-chaman ke qadmon par
sar jhukao bahaar ke din hain
mai nahin hai to ashk-e-gham hi sahi
pi bhi jao bahaar ke din hain
tum gae raunaq-e-bahaar gai
tum na jao bahaar ke din hain
han koi wardat-e-saghar-o-mai
kuchh sunao bahaar ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.