hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
hasīn naġhma-sarāo! bahār ke din haiñ
laboñ kī jot jalāo! bahār ke din haiñ
takallufāt kā mausam guzar gayā sāhab!
naqāb ruḳh se uThāo bahār ke din haiñ
guloñ kī sej to tauhīn hai hasīnoñ kī
diloñ kī sej bichhāo bahār ke din haiñ
bahār biit ga.ī to tumhārī kyā izzat
sitam-zarīf ghaTāo! bahār ke din haiñ
hai umr-e-rafta se parḳhāsh kyā bhalā ham ko
qarīb hai to bulāo! bahār ke din haiñ
muġhanniyo! tumheñ kahte haiñ hātif-e-rañgīñ
saman-e-baroñ ko jagāo! bahār ke din haiñ
ye añgbīn sī rāteñ baḌī muqaddas haiñ
diloñ ke diip jalāo! bahār ke din haiñ
'adam' ne tauba to kar lī muġhanniyo! lekin
tum us ko raah pe laao bahār ke din haiñ
hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
labon ki jot jalao! bahaar ke din hain
takallufat ka mausam guzar gaya sahab!
naqab ruKH se uThao bahaar ke din hain
gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki
dilon ki sej bichhao bahaar ke din hain
bahaar bit gai to tumhaari kya izzat
sitam-zarif ghaTao! bahaar ke din hain
hai umr-e-rafta se parKHash kya bhala hum ko
qarib hai to bulao! bahaar ke din hain
mughanniyo! tumhein kahte hain hatif-e-rangin
saman-e-baron ko jagao! bahaar ke din hain
ye angbin si raaten baDi muqaddas hain
dilon ke dip jalao! bahaar ke din hain
'adam' ne tauba to kar li mughanniyo! lekin
tum us ko rah pe lao bahaar ke din hain
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 582)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.