kis ki KHwahish mein jal raha hai badan
kis kī ḳhvāhish meñ jal rahā hai badan
mom jaisā pighal rahā hai badan
dhīre dhīre badal rahe haiñ ḳhayāl
rafta rafta badal rahā hai badan
dukh ke kāñToñ pe so rahā huuñ maiñ
ġham ke sho.aloñ pe jal rahā hai badan
husn-e-pur-nūr se lipaTne ko
pāgaloñ sā machal rahā hai badan
sej pe khil rahe haiñ vasl ke phuul
raat pe itr mal rahā hai badan
sub.h hone ko hai 'qamar' sāhab
ik badan se nikal rahā hai badan
kis ki KHwahish mein jal raha hai badan
mom jaisa pighal raha hai badan
dhire dhire badal rahe hain KHayal
rafta rafta badal raha hai badan
dukh ke kanTon pe so raha hun main
gham ke shoalon pe jal raha hai badan
husn-e-pur-nur se lipaTne ko
pagalon sa machal raha hai badan
sej pe khil rahe hain wasl ke phul
raat pe itr mal raha hai badan
subh hone ko hai 'qamar' sahab
ek badan se nikal raha hai badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.