kaisa tilism aaj ye tari hai jism mein
kaisā tilism aaj ye taarī hai jism meñ
terā varūd shauq se jaarī hai jism meñ
tum bhī na jaan pāoge is dil kā iztirāb
tum ne to ek umr guzārī hai jism meñ
ik sabz raushnī hai jo ghere hue mujhe
aayat zuhā kī kis ne utārī hai jism meñ
ye merā ishq hai ki jo zinda hai mujh meñ tū
varna to ek saañs bhī bhārī hai jism meñ
tab se ajiib sog meñ Duubā huā hai dil
kuchh ḳhvāhishoñ ne jaan jo haarī hai jism meñ
pīrān-e-ishq kī ye duāoñ kā hai asar hai
zamzam mohabbatoñ kā jo jaarī hai jism meñ
shāyad ki terī yaad ke mahke haiñ phuul kuchh
'anjum' jo aaj raqs-e-ḳhumārī hai jism meñ
kaisa tilism aaj ye tari hai jism mein
tera warud shauq se jari hai jism mein
tum bhi na jaan paoge is dil ka iztirab
tum ne to ek umr guzari hai jism mein
ek sabz raushni hai jo ghere hue mujhe
aayat zuha ki kis ne utari hai jism mein
ye mera ishq hai ki jo zinda hai mujh mein tu
warna to ek sans bhi bhaari hai jism mein
tab se ajib sog mein Duba hua hai dil
kuchh KHwahishon ne jaan jo haari hai jism mein
piran-e-ishq ki ye duaon ka hai asar hai
zamzam mohabbaton ka jo jari hai jism mein
shayad ki teri yaad ke mahke hain phul kuchh
'anjum' jo aaj raqs-e-KHumari hai jism mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.