hamari maut ka wahid hai ye gawah badan
hamārī maut kā vāhid hai ye gavāh badan
nahīñ hai ruuh pe koī bhī zaḳhm-gāh badan
hamārī aañkh se zāhir ho raushnī kaise
hamāre sāmne rakkhā gayā siyāh badan
jo gūñge logoñ kī bastī meñ koī naam liyā
sunā.ī dene lage mujh ko be-panāh badan
hamārī ruuh pe nashtar chubhe udāsī ke
hazār aahoñ pe mātam-kada hai aah badan
use mare hue ghanTe guzar ga.e kitne
ab aage kyā hai nahīñ hai agar tabāh badan
maiñ us pe naqsh banā.ūñgī apnī vahshat ke
na.ī nikālūñgī tujh se maiñ koī raah badan
maiñ andhe logoñ meñ shāmil huuñ un ke jaisī huuñ
so ek shart hī rakkhī ga.ī nibāh badan
hamari maut ka wahid hai ye gawah badan
nahin hai ruh pe koi bhi zaKHm-gah badan
hamari aankh se zahir ho raushni kaise
hamare samne rakkha gaya siyah badan
jo gunge logon ki basti mein koi nam liya
sunai dene lage mujh ko be-panah badan
hamari ruh pe nashtar chubhe udasi ke
hazar aahon pe matam-kada hai aah badan
use mare hue ghanTe guzar gae kitne
ab aage kya hai nahin hai agar tabah badan
main us pe naqsh banaungi apni wahshat ke
nai nikalungi tujh se main koi rah badan
main andhe logon mein shamil hun un ke jaisi hun
so ek shart hi rakkhi gai nibah badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.