baad-e-shimal chalne lagi ang ang mein
bād-e-shimāl chalne lagī añg añg meñ
lipTā hai kaun mujh se ye patjhaḌ ke rañg meñ
ḳhvāhish ke kārobār se bachnā muhāl hai
utregā tū bhī saath mire is surañg meñ
maiñ āñdhiyoñ meñ haath bhī pakḌūñ tirā to kyā
ik shāḳh-e-be-siper huuñ havāoñ kī jañg meñ
'rāñjhā' maiñ ahd-e-nau kā qabīloñ meñ baT gayā
to 'hīr' ban ke pī na sakī zahr jhang meñ
garmā sakīñ na chāhateñ terā kaThor jism
har ik jal ke bujh ga.ī tasvīr sañg meñ
aage 'musavvir' aag aqab meñ hai ye sadā
pīchhe na muḌ ke dekhnā is dasht-e-sañg meñ
baad-e-shimal chalne lagi ang ang mein
lipTa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein
KHwahish ke karobar se bachna muhaal hai
utrega tu bhi sath mere is surang mein
main aandhiyon mein hath bhi pakDun tera to kya
ek shaKH-e-be-siper hun hawaon ki jang mein
'ranjha' main ahd-e-nau ka qabilon mein baT gaya
to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein
garma sakin na chahaten tera kaThor jism
har ek jal ke bujh gai taswir sang mein
aage 'musawwir' aag aqab mein hai ye sada
pichhe na muD ke dekhna is dasht-e-sang mein
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 85)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.