awwal awwal ki dosti hai abhi
avval avval kī dostī hai abhī
ik ġhazal hai ki ho rahī hai abhī
maiñ bhī shahr-e-vafā meñ nau-vārid
vo bhī ruk ruk ke chal rahī hai abhī
maiñ bhī aisā kahāñ kā zūd-shanās
vo bhī lagtā hai sochtī hai abhī
dil kī vāraftagī hai apnī jagah
phir bhī kuchh ehtiyāt sī hai abhī
garche pahlā sā ijtināb nahīñ
phir bhī kam kam supurdagī hai abhī
kaisā mausam hai kuchh nahīñ khultā
būñdā-bāñdī bhī dhuup bhī hai abhī
ḳhud-kalāmī meñ kab ye nashsha thā
jis tarah rū-ba-rū koī hai abhī
qurbateñ laakh ḳhūb-sūrat hoñ
dūriyoñ meñ bhī dilkashī hai abhī
fasl-e-gul meñ bahār pahlā gulāb
kis kī zulfoñ meñ Tāñktī hai abhī
muddateñ ho ga.iiñ 'farāz' magar
vo jo dīvāngī ki thī hai abhī
awwal awwal ki dosti hai abhi
ek ghazal hai ki ho rahi hai abhi
main bhi shahr-e-wafa mein nau-warid
wo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi
main bhi aisa kahan ka zud-shanas
wo bhi lagta hai sochti hai abhi
dil ki waraftagi hai apni jagah
phir bhi kuchh ehtiyat si hai abhi
garche pahla sa ijtinab nahin
phir bhi kam kam supurdagi hai abhi
kaisa mausam hai kuchh nahin khulta
bunda-bandi bhi dhup bhi hai abhi
KHud-kalami mein kab ye nashsha tha
jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi
qurbaten lakh KHub-surat hon
duriyon mein bhi dilkashi hai abhi
fasl-e-gul mein bahaar pahla gulab
kis ki zulfon mein Tankti hai abhi
muddaten ho gain 'faraaz' magar
wo jo diwangi ki thi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.