ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai
ai husn-e-yār sharm ye kyā inqalāb hai
tujh se ziyāda dard tirā kāmyāb hai
āshiq kī be-dilī kā taġhāful nahīñ javāb
us kā bas ek josh-e-mohabbat javāb hai
terī ināyateñ ki nahīñ nazr-e-jāñ qubūl
terī navāzisheñ ki zamāna ḳharāb hai
ai husn apnī hausla-afzā.iyāñ to dekh
maanā ki chashm-e-shauq bahut be-hijāb hai
maiñ ishq-e-be-niyāz huuñ tum husn-e-be-panāh
merā javāb hai na tumhārā javāb hai
mai-ḳhāna hai usī kā ye duniyā usī kī hai
jis tishna-lab ke haath meñ jām-e-sharāb hai
us se dil-e-tabāh kī rūdād kyā kahūñ
jo ye na sun sake ki zamāna ḳharāb hai
ai mohtasib na pheñk mire mohtasib na pheñk
zālim sharāb hai are zālim sharāb hai
apne hudūd se na baḌhe koī ishq meñ
jo zarra jis jagah hai vahīñ āftāb hai
vo laakh sāmne hoñ magar is kā kyā ilaaj
dil māntā nahīñ ki nazar kāmyāb hai
merī nigāh-e-shauq bhī kuchh kam nahīñ magar
phir bhī tirā shabāb tirā hī shabāb hai
mānūs-e-e'tibār-e-karam kyuuñ kiyā mujhe
ab har ḳhatā-e-shauq isī kā javāb hai
maiñ us kā ā.īna huuñ vo hai merā ā.īna
merī nazar se us kī nazar kāmyāb hai
tanhā.ī-e-firāq ke qurbān jā.iye
maiñ huuñ ḳhayāl-e-yār hai chashm-e-pur-āb hai
sarmāya-e-firāq 'jigar' aah kuchh na pūchh
ab jaan hai so apne liye ḳhud azaab hai
ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai
tujh se ziyaada dard tera kaamyab hai
aashiq ki be-dili ka taghaful nahin jawab
us ka bas ek josh-e-mohabbat jawab hai
teri inayaten ki nahin nazr-e-jaan qubul
teri nawazishen ki zamana KHarab hai
ai husn apni hausla-afzaiyan to dekh
mana ki chashm-e-shauq bahut be-hijab hai
main ishq-e-be-niyaz hun tum husn-e-be-panah
mera jawab hai na tumhaara jawab hai
mai-KHana hai usi ka ye duniya usi ki hai
jis tishna-lab ke hath mein jam-e-sharab hai
us se dil-e-tabah ki rudad kya kahun
jo ye na sun sake ki zamana KHarab hai
ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk
zalim sharab hai are zalim sharab hai
apne hudud se na baDhe koi ishq mein
jo zarra jis jagah hai wahin aaftab hai
wo lakh samne hon magar is ka kya ilaj
dil manta nahin ki nazar kaamyab hai
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
manus-e-e'tibar-e-karam kyun kiya mujhe
ab har KHata-e-shauq isi ka jawab hai
main us ka aaina hun wo hai mera aaina
meri nazar se us ki nazar kaamyab hai
tanhai-e-firaq ke qurban jaiye
main hun KHayal-e-yar hai chashm-e-pur-ab hai
sarmaya-e-firaq 'jigar' aah kuchh na puchh
ab jaan hai so apne liye KHud azab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.