Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ajal ai jaan-e-fani tu ne ye kya kar diya

Fani Badayuni

ai ajal ai jaan-e-fani tu ne ye kya kar diya

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    ai ajal ai jān-e-'fānī' ne ye kyā kar diyā

    maar Daalā marne vaale ko ki achchhā kar diyā

    jab tirā zikr aa gayā ham daf.atan chup ho ga.e

    vo chhupāyā rāz-e-dil ham ne ki ifshā kar diyā

    kis qadar be-zār thā dil mujh se zabt-e-shauq par

    jab kahā dil kiyā zālim ne rusvā kar diyā

    yuuñ churā.īñ us ne āñkheñ sādgī to dekhiye

    bazm meñ goyā mirī jānib ishārā kar diyā

    dardmandān-e-azal par ishq ehsāñ nahīñ

    dard yaañ dil se gayā kab thā ki paidā kar diyā

    dil ko pahlū se nikal jaane phir raT lag ga.ī

    phir kisī ne āñkhoñ āñkhoñ meñ taqāzā kar diyā

    ranj paayā dil diyā sach hai magar ye to kaho

    kyā kisī ne de ke paayā kis ne kyā kar diyā

    bach rahā thā ek āñsū-dār-o-gīr-e-zabt se

    joshish-e-ġham ne phir is qatre ko dariyā kar diyā

    'fānī'-e-mahjūr thā aaj ārzū-mand-e-ajal

    aap ne aa kar pashīmān-e-tamannā kar diyā

    ai ajal ai jaan-e-'fani' tu ne ye kya kar diya

    mar Dala marne wale ko ki achchha kar diya

    jab tera zikr aa gaya hum dafatan chup ho gae

    wo chhupaya raaz-e-dil hum ne ki ifsha kar diya

    kis qadar be-zar tha dil mujh se zabt-e-shauq par

    jab kaha dil ka kiya zalim ne ruswa kar diya

    yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiye

    bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya

    dardmandan-e-azal par ishq ka ehsan nahin

    dard yan dil se gaya kab tha ki paida kar diya

    dil ko pahlu se nikal jaane ki phir raT lag gai

    phir kisi ne aankhon aankhon mein taqaza kar diya

    ranj paya dil diya sach hai magar ye to kaho

    kya kisi ne de ke paya kis ne kya pa kar diya

    bach raha tha ek aansu-dar-o-gir-e-zabt se

    joshish-e-gham ne phir is qatre ko dariya kar diya

    'fani'-e-mahjur tha aaj aarzu-mand-e-ajal

    aap ne aa kar pashiman-e-tamanna kar diya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ai ajal ai jaan-e-fani tu ne ye kya kar diya Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now