aaseb sa jaise mere aasab se nikla
aaseb sā jaise mire a.asāb se niklā
ye kaun dabe paañv mire ḳhvāb se niklā
jab jaal machhere ne sameTā hai alassub.h
TuuTā huā ik chāñd bhī tālāb se niklā
siine meñ dabī chīḳh badan toḌ ke niklī
yādoñ kā dhuāñ ruuh kī mehrāb se niklā
muTThī meñ chhupā.e hue kuchh aks ka.ī raaz
maiñ us kī kahānī ke har ik baab se niklā
āvāz mujhe dene lagī thī mirī miTTī
maiñ ḳhud ko sameTe hue mahtāb se niklā
kuchh tohmat-o-dushnām shikāyāt-o-savālāt
kyā kuchh na miyāñ halqa-e-ahbāb se niklā
aaseb sa jaise mere aasab se nikla
ye kaun dabe panw mere KHwab se nikla
jab jal machhere ne sameTa hai alassubh
TuTa hua ek chand bhi talab se nikla
sine mein dabi chiKH badan toD ke nikli
yaadon ka dhuan ruh ki mehrab se nikla
muTThi mein chhupae hue kuchh aks kai raaz
main us ki kahani ke har ek bab se nikla
aawaz mujhe dene lagi thi meri miTTi
main KHud ko sameTe hue mahtab se nikla
kuchh tohmat-o-dushnam shikayat-o-sawalat
kya kuchh na miyan halqa-e-ahbab se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.