aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
āñkhoñ se mohabbat ke ishāre nikal aa.e
barsāt ke mausam meñ sitāre nikal aa.e
thā tujh se bichhaḌ jaane kā ehsās magar ab
jiine ke liye aur sahāre nikal aa.e
maiñ ne to yūñhī zikr-e-vafā chheḌ diyā thā
be-sāḳhta kyuuñ ashk tumhāre nikal aa.e
jab maiñ ne safīne meñ tirā naam liyā hai
tūfān kī bāhoñ se kināre nikal aa.e
ham jaañ to bachā laate magar apnā muqaddar
is bhiiḌ meñ kuchh dost hamāre nikal aa.e
jugnū inheñ samjhā thā magar kyā kahūñ 'mansūr'
muTThī ko jo kholā to sharāre nikal aa.e
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsat ke mausam mein sitare nikal aae
tha tujh se bichhaD jaane ka ehsas magar ab
jine ke liye aur sahaare nikal aae
main ne to yunhi zikr-e-wafa chheD diya tha
be-saKHta kyun ashk tumhaare nikal aae
jab main ne safine mein tera nam liya hai
tufan ki bahon se kinare nikal aae
hum jaan to bacha late magar apna muqaddar
is bhiD mein kuchh dost hamare nikal aae
jugnu inhen samjha tha magar kya kahun 'mansur'
muTThi ko jo khola to sharare nikal aae
- Book : Kashmakash (Pg. 51)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.