aah ko baad-e-saba dard ko KHushbu likhna
aah ko bād-e-sabā dard ko ḳhushbū likhnā
hai bajā zaḳhm-e-badan ko gul-e-ḳhud-rū likhnā
dard bhīgī huī rātoñ meñ chamak uTThā hai
ham ko likhnā hai to barsāt kā jugnū likhnā
ḳhvāb Takrā ke haqā.eq se hue sad-pāra
ab inheñ aañkh se Dhalke hue aañsū likhnā
tū ne sulatānī-e-jamhūr badal diiñ qadreñ
aaj farhād ko mushkil nahīñ ḳhusrav likhnā
ab munāsib nahīñ ham-asr ġhazal ko yaaro
kisī bajtī huī pāzeb kā ghuñghrū likhnā
hunar-afshāni-e-ḳhāma ko duā do ki 'fazā'
lafz ko sahl huā nāfa-e-āhū likhnā
aah ko baad-e-saba dard ko KHushbu likhna
hai baja zaKHm-e-badan ko gul-e-KHud-ru likhna
dard bhigi hui raaton mein chamak uTTha hai
hum ko likhna hai to barsat ka jugnu likhna
KHwab Takra ke haqaeq se hue sad-para
ab inhen aankh se Dhalke hue aansu likhna
tu ne sulatani-e-jamhur badal din qadren
aaj farhad ko mushkil nahin KHusraw likhna
ab munasib nahin ham-asr ghazal ko yaro
kisi bajti hui pazeb ka ghunghru likhna
hunar-afshani-e-KHama ko dua do ki 'faza'
lafz ko sahl hua nafa-e-ahu likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.