aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib
aa ga.ī dil kī lagī baḌh ke rag-e-jāñ ke qarīb
qāfila shauq kā hai manzil-e-armāñ ke qarīb
ādamiyyat nahīñ phaTkī tire darbāñ ke qarīb
varna aatā to hai insān hī insāñ ke qarīb
vaz-e-pābandī o āzādī-e-hastī tauba
ya.anī zindāñ se kahīñ duur na zindāñ ke qarīb
jur.at-e-afzā-e-savāl ai zahe andāz-e-javāb
aatī jaatī hai ab us but kī nahīñ haañ ke qarīb
hai to kuchh hashr kī aamad kā hameñ bhī khaTkā
is ke āsār to haiñ ganj-e-shahīdāñ ke qarīb
mujh ko ma.alūm huā ab ki zamāna tum ho
mil ga.ī rāh-e-sukūñ gardish-e-daurāñ ke qarīb
ġham-o-andoh kā lashkar bhī chalā aatā hai
ek ghoḌ-dauḌ sī hai umr-e-gurezāñ ke qarīb
girya-e-ġham ko hai palkoñ kā ishāra darkār
ek umDā huā tūfān hai mizhgāñ ke qarīb
jaan kis kis ko sambhāle ki sab ajzā-e-vajūd
haiñ pareshāni-e-ḳhātir se pareshāñ ke qarīb
paañv dāman se ulajhte haiñ ḳhudā ḳhair kare
haath rahte haiñ ka.ī din se garebāñ ke qarīb
bhuul jā ḳhud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahī
koī rahtā hī nahīñ sarhad-e-irfāñ ke qarīb
kasrat-e-ḳhār rah-e-shauq ilāhī tauba
kahīñ pahuñche to nahīñ rauza-e-rizvāñ ke qarīb
marhabā bandagī-āmoz tasavvur terā
jis ke ehsān se pahuñchā huuñ maiñ ehsāñ ke qarīb
tuur kī chheḌ huī hosh-rubā varna kalīm
koī pahuñchā bhī to thā sho.ala-e-uryāñ ke qarīb
qadr-afzā.ī-e-māhaul-e-vatan kyā kahnā
daam yūsuf ke bahut aa ga.e kan.āñ ke qarīb
ab to 'nātiq' kā bas itnā hī patā chaltā hai
hai kahīñ ghar se bahut duur bayābāñ ke qarīb
aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib
qafila shauq ka hai manzil-e-arman ke qarib
aadamiyyat nahin phaTki tere darban ke qarib
warna aata to hai insan hi insan ke qarib
waz-e-pabandi o aazadi-e-hasti tauba
yani zindan se kahin dur na zindan ke qarib
jurat-e-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab
aati jati hai ab us but ki nahin han ke qarib
hai to kuchh hashr ki aamad ka hamein bhi khaTka
is ke aasar to hain ganj-e-shahidan ke qarib
mujh ko malum hua ab ki zamana tum ho
mil gai rah-e-sukun gardish-e-dauran ke qarib
gham-o-andoh ka lashkar bhi chala aata hai
ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezan ke qarib
girya-e-gham ko hai palkon ka ishaara darkar
ek umDa hua tufan hai mizhgan ke qarib
jaan kis kis ko sambhaale ki sab ajza-e-wajud
hain pareshani-e-KHatir se pareshan ke qarib
panw daman se ulajhte hain KHuda KHair kare
hath rahte hain kai din se gareban ke qarib
bhul ja KHud ko ki hai marifat-e-nafs yahi
koi rahta hi nahin sarhad-e-irfan ke qarib
kasrat-e-KHar rah-e-shauq ilahi tauba
kahin pahunche to nahin rauza-e-rizwan ke qarib
marhaba bandagi-amoz tasawwur tera
jis ke ehsan se pahuncha hun main ehsan ke qarib
tur ki chheD hui hosh-ruba warna kalim
koi pahuncha bhi to tha shoala-e-uryan ke qarib
qadr-afzai-e-mahaul-e-watan kya kahna
dam yusuf ke bahut aa gae kanan ke qarib
ab to 'natiq' ka bas itna hi pata chalta hai
hai kahin ghar se bahut dur bayaban ke qarib
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.