use bhulne ka sitam kar rahe hain
use bhūlne kā sitam kar rahe haiñ
ham apnī aziyyat ko kam kar rahe haiñ
hamārī nigāhoñ se sapne churā kar
vo kis kī nigāhoñ meñ zam kar rahe haiñ
hayāt-e-ravāñ kī har ik nā-ravā.ī
ham apne lahū se raqam kar rahe haiñ
bhalī kyuuñ lage ham ko ḳhushiyoñ kī dastak
abhī ham mohabbat kā ġham kar rahe haiñ
kise dukh sunā.eñ sabhī to yahāñ par
shumār apne apne alam kar rahe haiñ
suḳhan ko siyāsat kā ziina dikhā kar
tamāsha ye ahl-e-qalam kar rahe haiñ
use bhulne ka sitam kar rahe hain
hum apni aziyyat ko kam kar rahe hain
hamari nigahon se sapne chura kar
wo kis ki nigahon mein zam kar rahe hain
hayat-e-rawan ki har ek na-rawai
hum apne lahu se raqam kar rahe hain
bhali kyun lage hum ko KHushiyon ki dastak
abhi hum mohabbat ka gham kar rahe hain
kise dukh sunaen sabhi to yahan par
shumar apne apne alam kar rahe hain
suKHan ko siyasat ka zina dikha kar
tamasha ye ahl-e-qalam kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.