surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha
surma-e-chashm banāyā dil o jaañ par rakkhā
zahr thā phir bhī use maiñ ne zabāñ par rakkhā
is ḳhasāre meñ ajab tarah kī sarshārī thī
dil ko māmūr sadā kār-e-ziyāñ par rakkhā
koī raushan to kare aa ke ḳhad-o-ḳhāl mire
harf-e-iqān huuñ aurāq-e-gumāñ par rakkhā
aaj dariyā meñ ajab shor ajab halchal hai
kis kī kashtī ne qadam āb-e-ravāñ par rakkhā
kyā sabā kaun sabā bād-e-bahārī kaisī
ek ik gul ho jahāñ nok-e-sināñ par rakkhā
ik qalandar kī tarah vaqt rahā mahv-e-ḳhirām
us ne kab dhyān ''talab'' shor-e-sagāñ par rakkhā
surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha
zahr tha phir bhi use main ne zaban par rakkha
is KHasare mein ajab tarah ki sarshaari thi
dil ko mamur sada kar-e-ziyan par rakkha
koi raushan to kare aa ke KHad-o-KHal mere
harf-e-iqan hun auraq-e-guman par rakkha
aaj dariya mein ajab shor ajab halchal hai
kis ki kashti ne qadam aab-e-rawan par rakkha
kya saba kaun saba baad-e-bahaari kaisi
ek ek gul ho jahan nok-e-sinan par rakkha
ek qalandar ki tarah waqt raha mahw-e-KHiram
us ne kab dhyan talab shor-e-sagan par rakkha
- Book : Jahaan Gard (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.