masih-e-waqt bhi dekhe hai dida-e-nam se
masīh-e-vaqt bhī dekhe hai dīda-e-nam se
ye kaisā zaḳhm hai yaaro ḳhafā hai marham se
koī ḳhayāl koī yaad koī to ehsās
milā de aaj zarā aa ke ham ko ḳhud ham se
hamārā jām-e-sifālīñ hī phir ġhanīmat thā
milī sharāb bhalā kis ko sāġhar-e-jam se
havā bhī tez hai yūrish bhī hai añdheroñ kī
jalā.e mish.aleñ baiThe haiñ log barham se
ġhamoñ kī aañch meñ tap kar hī fan nikhartā hai
ye sham.a jaltī hai 'jāved' chashm-e-pur-nam se
masih-e-waqt bhi dekhe hai dida-e-nam se
ye kaisa zaKHm hai yaro KHafa hai marham se
koi KHayal koi yaad koi to ehsas
mila de aaj zara aa ke hum ko KHud hum se
hamara jam-e-sifalin hi phir ghanimat tha
mili sharab bhala kis ko saghar-e-jam se
hawa bhi tez hai yurish bhi hai andheron ki
jalae mishalen baiThe hain log barham se
ghamon ki aanch mein tap kar hi fan nikharta hai
ye shama jalti hai 'jawed' chashm-e-pur-nam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.