jise samjha hai tu ai sang-dil mai-KHwariyan meri
jise samjhā hai tū ai sang-dil mai-ḳhvāriyāñ merī
tire ḳhalvat-kade meñ haiñ vo shab-bedāriyāñ merī
sadā ādāb kī had meñ rahā dast-e-junūñ merā
mirī vahshat meñ bhī qaa.em rahīñ ḳhuddāriyāñ merī
ḳhudā kā shukr hai uThtā nahīñ dast-e-talab merā
ḳhushā-qismat banīñ kamzoriyāñ ḳhuddāriyāñ merī
pas-e-murdan bhī musht-e-ḳhāk meñ kaisī ye vahshat hai
uThā kartī hai āñdhī ban ke ḳhāk-e-rā.egāñ merī
mirī ma.asūm fitrat hī ne jab sab kuchh diyā mujh ko
mire kis kaam ā.eñgī ye phir hushyāriyāñ merī
abhī merī zarūrat hai maiñ kyoñ mar jā.ūñ ai nāseh
mujhe sāġhar-ba-kaf rakhtī haiñ zimmedāriyāñ merī
agar dekhā na hotā 'soz' maiñ ne ḳhvāb-e-mai-ḳhāna
kabhī kā ḳhatm kar detīñ mujhe bedāriyāñ merī
jise samjha hai tu ai sang-dil mai-KHwariyan meri
tere KHalwat-kade mein hain wo shab-bedariyan meri
sada aadab ki had mein raha dast-e-junun mera
meri wahshat mein bhi qaem rahin KHuddariyan meri
KHuda ka shukr hai uThta nahin dast-e-talab mera
KHusha-qismat banin kamzoriyan KHuddariyan meri
pas-e-murdan bhi musht-e-KHak mein kaisi ye wahshat hai
uTha karti hai aandhi ban ke KHak-e-raegan meri
meri masum fitrat hi ne jab sab kuchh diya mujh ko
mere kis kaam aaengi ye phir hushyariyan meri
abhi meri zarurat hai main kyon mar jaun ai naseh
mujhe saghar-ba-kaf rakhti hain zimmedariyan meri
agar dekha na hota 'soz' main ne KHwab-e-mai-KHana
kabhi ka KHatm kar detin mujhe bedariyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.