ji ka janjal hai ishq miyan qissa ye tamam karo wali
jī kā janjāl hai 'ishq miyāñ qissa ye tamām karo 'vālī'
baḌī raat ga.ī ab so jaao kuchh der ārām karo 'vālī'
sab jāgne vaale rātoñ ke shab-zinda-dār nahīñ hote
tum apne saath meñ auroñ kī kyuuñ niiñd harām karo 'vālī'
sab bichhḌe sāthī mil jaa.eñ murjhā.eñ chehre khil jaa.eñ
sab chaak diloñ ke sil jaa.eñ koī aisā kaam karo 'vālī'
kyuuñ ghabrā.e ghabrā.e ho kyuuñ uktā.e uktā.e ho
ik muddat ke baa'd aa.e ho kuchh din to qayām karo 'vālī'
ham daarā haiñ na sikandar haiñ darvesh haiñ mast qalandar haiñ
chāho to hamāre saath basar tum bhī ik shaam karo 'vālī'
jab bhuul ga.e tum yāroñ ko apne pyāroñ dil-dāroñ ko
phir shahr ke mansab-dāroñ ko jhuk ke salām karo 'vālī'
tum nāhaq bhes badalte ho ham ko yūñhī achchhe lagte ho
kyuuñ qashqa khīñcho dair meñ baiTho tark-e-islām karo 'vālī'
ji ka janjal hai 'ishq miyan qissa ye tamam karo 'wali'
baDi raat gai ab so jao kuchh der aaram karo 'wali'
sab jagne wale raaton ke shab-zinda-dar nahin hote
tum apne sath mein auron ki kyun nind haram karo 'wali'
sab bichhDe sathi mil jaen murjhaen chehre khil jaen
sab chaak dilon ke sil jaen koi aisa kaam karo 'wali'
kyun ghabrae ghabrae ho kyun uktae uktae ho
ek muddat ke ba'd aae ho kuchh din to qayam karo 'wali'
hum dara hain na sikandar hain darwesh hain mast qalandar hain
chaho to hamare sath basar tum bhi ek sham karo 'wali'
jab bhul gae tum yaron ko apne pyaron dil-daron ko
phir shahr ke mansab-daron ko jhuk ke salam karo 'wali'
tum nahaq bhes badalte ho hum ko yunhi achchhe lagte ho
kyun qashqa khincho dair mein baiTho tark-e-islam karo 'wali'
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 310)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.