jab na duniya mein raha mushkil-kusha mere liye
jab na duniyā meñ rahā mushkil-kushā mere liye
aa basā bandoñ meñ ḳhud merā ḳhudā mere liye
ishq kī manzil meñ mujh ko dekh kar sābit-qadam
husn kā pahlū banā mehmāñ-sarā mere liye
ab mirī ma.asūm nazroñ par tasadduq hai shabāb
baam par aane lage vo barmalā mere liye
ġham ke hāthoñ mar to jā.ūñ lekin is kā kyā ilaaj
zindagī kī intihā hai ibtidā mere liye
dair se rishta na ka.abe se ilāqa thā kabhī
ek tum hī ban ga.e ho devtā mere liye
ik mujassam kaif-o-mastī hai mire ghar ke qarīb
do qadam par khul gayā hai mai-kada mere liye
phir mirī dīvāngī ne aql ke nāḳhun liye
phir musībat ban ga.ī hirs-o-havā mere liye
maiñ ne har taḳhrīb meñ dekhī hai ik ta.amīr bhī
merā miT jaanā bhī hai himmat-fazā mere liye
jab na duniya mein raha mushkil-kusha mere liye
aa basa bandon mein KHud mera KHuda mere liye
ishq ki manzil mein mujh ko dekh kar sabit-qadam
husn ka pahlu bana mehman-sara mere liye
ab meri masum nazron par tasadduq hai shabab
baam par aane lage wo barmala mere liye
gham ke hathon mar to jaun lekin is ka kya ilaj
zindagi ki intiha hai ibtida mere liye
dair se rishta na kabe se ilaqa tha kabhi
ek tum hi ban gae ho dewta mere liye
ek mujassam kaif-o-masti hai mere ghar ke qarib
do qadam par khul gaya hai mai-kada mere liye
phir meri diwangi ne aql ke naKHun liye
phir musibat ban gai hirs-o-hawa mere liye
main ne har taKHrib mein dekhi hai ek tamir bhi
mera miT jaana bhi hai himmat-faza mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.