dil kisi KHwahish ka uksaya hua
dil kisī ḳhvāhish kā uksāyā huā
phir machal uTThā hai bahlāyā huā
jā tujhe tere havāle kar diyā
kheñch le ye haath phailāyā huā
jis tarah hai ḳhushk pattoñ ko havā
mere hisse meñ hai tū aayā huā
ye bagūle haiñ ki istiqbāl-e-qais
phir rahā hai dasht ghabrāyā huā
bazm meñ bas ik ruḳh-e-raushan ke faiz
jo jahāñ maujūd thā saayā huā
kyā karūñ ai kār-e-duniyā kyā karūñ
vo mujhe hai phir se yaad aayā huā
dil kisi KHwahish ka uksaya hua
phir machal uTTha hai bahlaya hua
ja tujhe tere hawale kar diya
khench le ye hath phailaya hua
jis tarah hai KHushk patton ko hawa
mere hisse mein hai tu aaya hua
ye bagule hain ki istiqbaal-e-qais
phir raha hai dasht ghabraya hua
bazm mein bas ek ruKH-e-raushan ke faiz
jo jahan maujud tha saya hua
kya karun ai kar-e-duniya kya karun
wo mujhe hai phir se yaad aaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.