darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko
darvāza tire shahr kā vā chāhiye mujh ko
jiinā hai mujhe taaza havā chāhiye mujh ko
āzār bhī the sab se ziyāda mirī jaañ par
altāf bhī auroñ se sivā chāhiye mujh ko
vo garm havā.eñ haiñ ki khultī nahīñ āñkheñ
sahrā maiñ huuñ bādal kī ridā chāhiye mujh ko
lab sī ke mire tū ne diye faisle saare
ik baar to bedard sunā chāhiye mujh ko
sab ḳhatm hue chaah ke aur ḳhabt ke qisse
ab pūchhne aa.e ho ki kyā chāhiye mujh ko
haañ chhūTā mire haath se iqrār kā dāman
haañ jurm-e-za.īfī kī sazā chāhiye mujh ko
mahbūs hai gumbad meñ kabūtar mirī jaañ kā
uḌne ko falak-bos fazā chāhiye mujh ko
samtoñ ke tilismāt meñ gum hai mirī tā.īd
qibla to hai ik qibla-numā chāhiye mujh ko
maiñ pairvi-e-ahl-e-siyāsat nahīñ kartā
ik rāsta in sab se judā chāhiye mujh ko
vo shor thā mahfil meñ ki chillā uThā 'vā.iz'
ik jām-e-mai-e-hosh-rubā chāhiye mujh ko
taqsīr nahīñ 'arsh' koī sāmne phir bhī
jiitā huuñ to jiine kī sazā chāhiye mujh ko
darwaza tere shahr ka wa chahiye mujh ko
jina hai mujhe taza hawa chahiye mujh ko
aazar bhi the sab se ziyaada meri jaan par
altaf bhi auron se siwa chahiye mujh ko
wo garm hawaen hain ki khulti nahin aankhen
sahra main hun baadal ki rida chahiye mujh ko
lab si ke mere tu ne diye faisle sare
ek bar to bedard suna chahiye mujh ko
sab KHatm hue chah ke aur KHabt ke qisse
ab puchhne aae ho ki kya chahiye mujh ko
han chhuTa mere hath se iqrar ka daman
han jurm-e-zaifi ki saza chahiye mujh ko
mahbus hai gumbad mein kabutar meri jaan ka
uDne ko falak-bos faza chahiye mujh ko
samton ke tilismat mein gum hai meri taid
qibla to hai ek qibla-numa chahiye mujh ko
main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta
ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko
wo shor tha mahfil mein ki chilla uTha 'waiz'
ek jam-e-mai-e-hosh-ruba chahiye mujh ko
taqsir nahin 'arsh' koi samne phir bhi
jita hun to jine ki saza chahiye mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.