dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
dard meñ lazzat bahut ashkoñ meñ ra.anā.ī bahut
ai ġham-e-hastī hameñ duniyā pasand aa.ī bahut
ho na ho dasht-o-chaman meñ ik ta.alluq hai zarūr
bād-e-sahrā.ī bhī ḳhushbū meñ uThā laa.ī bahut
maslahat kā jabr aisā thā ki chup rahnā paḌā
varna uslūb-e-zamāna par hañsī aa.ī bahut
be-sahāroñ kī mohabbat be-navāoñ kā ḳhulūs
aah ye daulat ki insānoñ ne Thukrā.ī bahut
be-ḳhayālī meñ bhī kitne fāsle tai ho ga.e
be-irāda bhī ye duniyā duur le aa.ī bahut
apnī fitrat meñ bhī raushan hoñge lekin ai 'zamīr'
merī rātoñ se bhī tāroñ ne chamak paa.ī bahut
dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniya pasand aai bahut
ho na ho dasht-o-chaman mein ek talluq hai zarur
baad-e-sahrai bhi KHushbu mein uTha lai bahut
maslahat ka jabr aisa tha ki chup rahna paDa
warna uslub-e-zamana par hansi aai bahut
be-sahaaron ki mohabbat be-nawaon ka KHulus
aah ye daulat ki insanon ne Thukrai bahut
be-KHayali mein bhi kitne fasle tai ho gae
be-irada bhi ye duniya dur le aai bahut
apni fitrat mein bhi raushan honge lekin ai 'zamir'
meri raaton se bhi taron ne chamak pai bahut
- Book : Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 354)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : Ahmad Nadeem Qasmi (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.