chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue
chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue
Rangin Saadat Yaar Khan
MORE BYRangin Saadat Yaar Khan
chaah kar ham us parī-rū ko jo dīvāne hue
dost dushman ho ga.e aur apne begāne hue
phir na.e sar se ye jī meñ hai ki dil ko DhūñDiye
ḳhaak kūche kī tire muddat huī chhāne hue
thā jahāñ mai-ḳhāna barpā us jagah masjid banī
TuuT kar masjid ko phir dekhā to but-ḳhāne hue
hai ye duniyā jā-e-ibrat ḳhaak se insān kī
ban ga.e kitne subū kitne hī paimāne hue
aql-o-hosh apne kā 'rañgīñ' ho gayā sab aur rañg
kishvar-e-dil meñ jab aa kar ishq ke thāne hue
chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue
dost dushman ho gae aur apne begane hue
phir nae sar se ye ji mein hai ki dil ko DhunDiye
KHak kuche ki tere muddat hui chhane hue
tha jahan mai-KHana barpa us jagah masjid bani
TuT kar masjid ko phir dekha to but-KHane hue
hai ye duniya ja-e-ibrat KHak se insan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimane hue
aql-o-hosh apne ka 'rangin' ho gaya sab aur rang
kishwar-e-dil mein jab aa kar ishq ke thane hue
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.