warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho
vārasta us se haiñ ki mohabbat hī kyuuñ na ho
kiije hamāre saath adāvat hī kyuuñ na ho
chhoḌā na mujh meñ zo.af ne rañg iḳhtilāt kā
hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hī kyuuñ na ho
hai mujh ko tujh se tazkira-e-ġhair kā gila
har-chand bar-sabīl-e-shikāyat hī kyuuñ na ho
paidā huī hai kahte haiñ har dard kī davā
yuuñ ho to chāra-e-ġham-e-ulfat hī kyuuñ na ho
Daalā na be-kasī ne kisī se muāmla
apne se khīñchtā huuñ ḳhajālat hī kyuuñ na ho
hai aadmī bajā.e ḳhud ik mahshar-e-ḳhayāl
ham anjuman samajhte haiñ ḳhalvat hī kyuuñ na ho
hañgāma-e-zabūni-e-himmat hai infi.āl
hāsil na kiije dahr se ibrat hī kyuuñ na ho
vārastagī bahāna-e-begāngī nahīñ
apne se kar na ġhair se vahshat hī kyuuñ na ho
miTtā hai faut-e-fursat-e-hastī kā ġham koī
umr-e-azīz sarf-e-ibādat hī kyuuñ na ho
us fitna-ḳhū ke dar se ab uThte nahīñ 'asad'
us meñ hamāre sar pe qayāmat hī kyuuñ na ho
warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho
kije hamare sath adawat hi kyun na ho
chhoDa na mujh mein zoaf ne rang iKHtilat ka
hai dil pe bar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho
hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila
har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyun na ho
paida hui hai kahte hain har dard ki dawa
yun ho to chaara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho
Dala na be-kasi ne kisi se muamla
apne se khinchta hun KHajalat hi kyun na ho
hai aadmi bajae KHud ek mahshar-e-KHayal
hum anjuman samajhte hain KHalwat hi kyun na ho
hangama-e-zabuni-e-himmat hai infial
hasil na kije dahr se ibrat hi kyun na ho
warastagi bahana-e-begangi nahin
apne se kar na ghair se wahshat hi kyun na ho
miTta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi
umr-e-aziz sarf-e-ibaadat hi kyun na ho
us fitna-KHu ke dar se ab uThte nahin 'asad'
us mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.